Badan se uthti thi us kay khushbu , saba kay lehjay main bolta tha
Yeh meri aankhein thein us ka bistar , woh meray khawabon main jaagta tha
Haya se palkein jhuki hui thein , hawa ki saansein ruki hui thein
Woh meray seenay main sar chupaye , na janay kya baat sochta tha
Koi tha chasham-e-karam ka taalib kisi pe shouq-e-wisal ghalib
Sawal phailay thay chaar janib , bas ik main tha jo chup kharra tha
Ajeeb sohbat , ajeeb rut thi khamosh baithay huye thay dono
Main us ki awaz sun raha tha , woh meri awaz sun raha tha
Bahar aayi to titliyon kay paron main rangon ko khawab jaagay
Aur ik bhanwara kali kali kay labon ko reh reh kay choomta tha !
Woh aur hon gay keh jin ko "Amjad" naye manazir ki chah ho gi
Main is kay chehray ko dekhta hoon , main us kay chehray ko dekhta tha
No comments:
Post a Comment