Mohabbat ki tabiyat main yeh kaisa bachpana qudrat ne rakha hai
Keh yeh jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
Issay ta'eed-e-taza ki phir bhi zaroorat rehti hai
Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon main leh'lahati ho
Nigahon se tapakti ho , lahu main jagmagati ho
Hazaron tarah kay dil'kash , haseen haalay banati ho
Issay izhaar kay lafzon ki haajat phir bhi rehti hai
Mohabbat maangti hai youn gawahi apnay honay ki
Keh jaisay tifal-e-sada shaam ko ik beej boye
Aur shab main baar ha uthay
Zameen ko khod kar dekhay keh poda ab kahan tak hai
Mohabbat main ajab takraar ki khu hai
Keh yeh iqraar kay lafzon ko sun'nanay se nahin thakti
Bicharnay ki gharri ho ya koi milnay ki sa'at ho
Issay bas aik hi dhun hai
Kaho mujh se mohabbat hai
kaho mujh se mohabbat hai
Tumhein mujh se mohabbat hai
Samandar se kahin gehri , sitaron se siwa roshan
Pyaron ki tarah qaaim , hawaon ki tarah daaim
Zameen se aasman tak jsi qadar achay manazir hain
Mohabbat kay kinaray hain , wafa kay ista'aray hain , hamaray hain
Hamaray wastay yeh chandani raatein sanwarti hain , sunehra din nikalta hai
Mohabbat jis taraf jaye zamana saath chalta hai
Kuch aisai be'sakooni hai wafa ki sar zameeno main
Jo ehal-e-mohabbat ko sada be'chain rakhti hai
Keh jaisay phool main khushbu , keh jaisay haath main para , keh jaisay shaam ka tara
Mohabbat karnay walon ki sehar raaton main rehti hai
Gumaan ki shaakhon main aashiyana banta hai ulfat ka
Yeh ain wasal main bhi hijar kay khadshon main rehti hai
Mohabbat kay musafir jab zindagi kaat chuktay hain
Thakan ki kirchiyan chu'nanay , wafa ki ajrakein pehnay
Samay ki rah'guzar ki aakhri sarhad par ruktay hain
To koi toot'ti saanson ki doori thaam kar
Dheeray se kehta hai
Yeh sach hai na ....!
Hamari zindagi ik doosray kay naam likhi thi
Dhund'laka sa jo aankhon kay qareeb-o-door phaila hai
Is ka naam chahat hai
Tumhain mujh se mohabbat thi
Tumhein mujh se mohabbat hai
No comments:
Post a Comment