Jun 2, 2014

Be'sabab to na thein teri yaadein



Be'sabab to na thein teri yaadein 
Teri yaadon se kya nahin seekha 
Zabt ka hosla barhaa lena 
Aanso'on ko kahin chupa lena 
Kaampti dolti sadaon ko 
Chup ki chadar main dhaamp rakhna 
Be'sabab bhi kabhi kabhi hansana 
Jab bhi ho baat koi talkhi ki 
Mozu-e-guftagoo badal dena 
Be'sabab to na thein teri yaadein 
Teri yaadon se kya nahin seekha

 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...