Jinhein main dhoondta tha aasmano main zameeno main
Woh niklay meray zulmat khana-e-dil kay makeeno main
Haqeeqat apni aankhon par nu'mayan hui jab apni
Makan nikla hamaray khana-e-dil kay makeeno main
Agar kaccha aashna hona mizaj jaba saai se
To sang aastaan kaaba ja milta jabeeno se
Kabhi apna bhi nazara kiya hai tu ne ae majnoo
Keh laila ki tarah khud bhi hai meh'mal nasheeno main
Maheenay wasal ki ghariyon ki surat urtay jatay hain
Magar ghariyan judai ki guzarti hain maheeno main
Mujhay rokay ga tu Ae na'khuda kya gharq honay se
Keh jin ko doobna ho doob jatay hain safeeno main
No comments:
Post a Comment