Bhool jaanay ka to bas aik bahaana ho ga
Keh behar'tor ussay yaad to aana ho ga
Koi mousam ho , mehakta rahay shadaab rahay
Apni aankhon ko kanwal aisa banana ho ga
Band muthi se jo urr jaati hai qismat ki pari
Us hatheli main koi chaid puraana ho ga
aablay paaon kay mehkain to magar dard na dain
Dasht main rait kay zarron ko bataana ho ga
Zawiye us ki nigahon kay baray qaatil hain
Samnay us kay bhout soch kay jaana ho ga
Ghaao kitna bhi puraana ho beh'haal ussay
Kachay mousam ki shraarat se bachaana ho ga
Haath likhnay pe misar khour zamanay ka "Batool"
Pairr pe naam koi likh kay mitaana ho ga
No comments:
Post a Comment