Bhula to de ga
magar abhi kuch
guzishta lamhon ka zikar le ke
khizaan ki rut main
awara paton ke sang chalay ga
hawa ke lehron , pe chupky chupky
azaab-e-jaan ke sitam likhay ga
abhi to woh bhi , aseer-e-gham hai
usi musafat pe gaam'zan hai
abhi to kuch din , meri tarah woh bhi
shakista khwabon ki kirchiyon ko
woh naram hathon ki ungliyon ke
haan zakhmi pooron se jab chunay ga
to kiya karay ga
gumaan ke raston pe atay jatay
kisi tajas'sus main jab rukay ga
mera yaqeen hai
keh ro paray ga
magar kahan tak
naye dino ko gaye dino pe
woh taal rakhay
guzishta lamhon ki titliyon ko
bhala kahan tak sambhaal rakhay
abhi to kuch din
gayi ruton ka bharam rakhay ga
seham seham ke qadam rakhay ga
bhula to de ga
magar abhi kuch ....
No comments:
Post a Comment