Bhula to de ga
magar abhi kuch
Guzishta lamhon ka zikar le kar
Khizan ki rut main
Awara paton kay sang chalay ga
Hawa ki lehron pe chupkay chupkay
Azaab-e-jaan kay sitam likhay ga
Abhi to woh bhi aseer-e-gham hai
Usi musafat pe gaamzan hai
Abhi to kuch din meri tarah woh
Shakista khawabon ki kirchiyon ko
Woh narm hathon ki ungliyon kay
Haan zakhmi poron sejab chunay ga
To kya karay ga , ,, , ,
Gumaan kay raston pe aatay jatay
Kisi tajas'sus main jab rukay ga
Mera yaqeen hai
Keh ro paray ga
Magar kahan tak
Naye dino ko gaye dino pe
Woh taal rakhay
Guzishta lamhon ki titliyon ko
Bhala kahan tak sambhal rakhay
Abhi to kuch din
Gayi ruton ka bharam rakhay ga
Seham seham kar qadam rakhay ga
Bhula to de ga ,
Magar abhi kuch ,,,,,,,
No comments:
Post a Comment