Aug 3, 2015

Chahat bhari kitaab se aagay nikal gaya


Chahat bharri kitaab se aagay nikal gaya 
Woh shakhs intisaab se aagay nikal gaya 

Urtay huye bagolon se us ka pata na pooch 
LAgta hai woh saraab se aagay nikal gaya 

Sab wapisi kay raastay masdood ho gay 
Woh aaj is hisaab se aagay nikal gaya 

Itna sakoot, dharkanein tham to nahin gayein 
Dil aaj iztraab se aagay nikal gaya 

Aankein khuli to saamnay tabeer thi kharri 
Woh aaj apnay khawaab se aagay nikal gaya 

Aagay naye azaab kay asaar mil gaye
JAb ishq , ik azaab se aagay nikal gaya 

Gum wasal ki kitaab main aisa hua Batool
Woh furqaton kay baab se aagay nikal gaya

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...