Aug 3, 2015

Rastay main thikana parta hai


Raastay main thikana parta hai 
Is liye jana aana parta hai 

Aag dil main bharak rahi ho agar 
Aanso'on se bujhana parta hai 

Khawaab kitna hi dil'faraib sahi 
Khawaab ko bhool jana parta hai 

Hum bhi to gulistaan kay baasi hain 
Baaghbaan ko bataana parta hai 

Tum se milnay ka shouq apni jaga 
Darmiyaan ik zamana parta hai 

Dard keh day jo meray saath chalo 
Door tak saath jana parta hai 

Haath jal jayein gay , jalay daman 
Apnay ghar ko bachaana parta hai 

Jin ko kaabay se bair ho un ko 
Butt'kaday ko sajana parta hai 

Hijar se jaan kis tarah chootay ?
Bojh apna uthana parta hai 

Kaam ranjhay se jab nahin hota 
Heer ko ghar basaana parta hai 

Woh Khuda hai to us ki chokhat par 
Apnay sar ko jhukana parta hai 

Kon khota hai aur kon kharra 
Aakrish aazmana parta hai 

YEh jahan ho keh woh jahan ho Batool
Saath sab ka nibhana parta hai 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...