Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono
Na main tujh se koi umeed rakhon dil nawazi ki
Na tum meri taraf dekho ghlat andaaz nazron se
Tumhain bhi koi uljhan rokti hai paish qadmi se
Mujhay bhi log kehtay hain keh yeh jalwe praye hain
Meray hamraah ab ruswaein hain meray mazi ki
Tumharay sath bhi guzri hui raaton ky saye hain
Ta'aruf rog ban jaye to us ko bhoolna behtar
Ta'aluq bojh ban jaye to us ko torna acha
Woh afsana jissay injaam tak lana na ho mumkin
Ussay ik khoobsurat mor de kar chorna acha
Chalo ik baar phir se ajnabi ban jayein hum dono
No comments:
Post a Comment