Kisi ko alwida kehna bhout takleef deta hai
Kisi ko alwida kehna 
Bhout takleef deta hai 
Umeedain toot jaati hain 
Yaqeen pe be'yaqeeni ka kohar kuch aisay charta hai 
Dikhai kuch nahin deta 
Sujhai kuch nahin deta 
Dua kay lafaz honton par musalsal kap'kapatay hain
Kisi khwaish kay andeshay 
Zehan main dor jaatay hain 
Gumaan kuch aisay hota hai 
Keh jaisay mil na payen gay 
Yeh gehray zakham furqat kay kisi se sil na payen gay 
Kabhi aisa bhi ho ya'rab 
Duaein maan leta hai 
Tu koi mojaza kar dy tu aisa kar bhi sakta hai 
Meray haathon ki janab dekh inhain tu bhar bhi sakta hai 
Judai ki yeh teekhi dhaar dilon ka khoon karti hai 
Judai ki aziyat se 
Mera dil ab bhi darta hai 
Judai 2 gharri ki ho to koi dil ko behlay 
Judai umar bhar ki ho 
To kiya chaara karay koi 
Keh ik milnay ki hasrat main bhala kab tak jiye koi 
Meray "Moula" karam kar dy tu aisa kar bhi sakta hai 
Meray haathon ki janib dekh , inhain tu bhar bhi sakta hai  
 
 
 
          
      
 
  
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
No comments:
Post a Comment