December ham'ein raas ata nahin
Kai saal guzray
Kai saal beetay
Shab-o-roz ki gardashon ka tasal'sul
Dil-o-jaan main sansoon ki partein ulat'ty huye
Zal'zalon ki tarah hampta hai
Cheekhtay huye khwaab
Aankhon ki nazuk ragein cheeltay hain
Magar main her ik saal ki goad main jagti subha ko
Be'kraan chahtaon se ati zindagi ki dua ly kar
Ab ik wohi justagoo ka safar kar raha hoon
Guzarta hua saal jaisa bhi guzra magar saal ky aakhri din
Nihayat khatan hain
Meray milney walo
Naye saal ki muskurati hui subha gar hath aye to
To milna
Keh jatay huye saal ki saa'aton main
Yeh bujhta hua dil
Dhrakta to hai muskurata nahin
December mujhay raas ata nahin
No comments:
Post a Comment