Jun 6, 2014

Wusat-e-chashm-e-tar bhi dekhain gay


Wusat-e-chashm-e-tar bhi dekhain gay
Hum tujhay bhool kar bhi dekhain gay

Zakham pe sibat kar na lab apney
Zakham ko chara' gar bhi dekhain gay

Hijar ki shab se hoslay apney
Bach gaye to sehar bhi dekhain gay

Ik dua dil se chup kar mangi thi
Us dua ka asar bhi dekhain gay

Ik purana safar to khatam to hua
Ik nayi raah guzar bhi dekhain gay

Gin to lenay do be'kafan lashain 
Be'sada baam-o-dar bhi dekhain gay

Raat honey do log soney do 
Chaand ko dar badar bhi dekhain gay

Chair ky dil ki raakh ko mohsin 
Ab keh raqas-e-shrar bhi dekhain gay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...