Dost ban kar bhi nahin saath nibhanay wala
Wohi andaz hai zaalim ka zamanay wala
Ab ussay log samajhtay hain giriftaar mera
Sakhat nadim hai mujhay daam main lanay wala
Kya kahein kitnay marasam thay hamaray us se
Woh jo ik shakhs hai munh phair kay janay wala
Teray hotay huye aa jati thi sari duniya
Aaj tanha hoon to koi nahin aanay wala
Muntazir kis ka hoon tooti hui dehleez pe main
Kon aaye ga yahan kon hai aanay wala
Tum takaluf ko bhi ikhlaas samajhtay ho "Faraz"
Dost hota nahin her haath milanay wala
No comments:
Post a Comment