Jun 17, 2014

Theek hai hum khud ko badaltay hain


Theek hai hum khud ko badaltay hain 
Shukriya mashwaray ka , chaltay hain 
Ho raha hoon main kis tarah barbaad
Dekhnay walay haath maltay hain 
Hai woh jaan ab her mehfil ki 
Hum bhi ab ghar se kam nikaltay hain 
Kya takaluf karein yeh kehnay main 
Jo bhi khush hai hum us se jaltay hain 
Tum bano rang , tum bano khushbu 
Hum to apnay sukhan main dhaltay hain 
Hai ajab faisalay ka sehraa bhi 
Chal na pariye to paon jaltay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...