Nazar tishna labi ki daastaan kehnay nahin deti
Zubaan honton pe tehray dard ko sehnay nahin deti
Yeh dil be'taab rehta hai tarap jaata hai pehlu main
Magar chahat , shikayat aankh main rehnay nahin deti
Dukhon ki aandhiyaan uth'ti bikharti hain khayalon main
Tabiyat hai keh aankhon se yeh gham behnay nahin deti
Qareenay se liye jaata hoon main duniya se mehroomi
Saleeqay se magar duniya mujhay sehnay nahin deti
Aroos-e-ashk-o-dil'sozi milk rog-e-azadaariyaan
"Qamar" is haal ko yeh be'khudi kehnay nahin deti
No comments:
Post a Comment