Jun 16, 2014

Woh mera hai magar is ehsaas se inkaar karta hai


Woh mera hai magar is ehsaas se inkaar karta hai 
Bharri mehfil main mujhay ruswa woh her baar karta hai 

Youn to karta hai zamanay bhar ki baatein mujh se
Magar jab baat mohabbat ki ho to takraar karta hai 

Sitam jab apnay sunata hai bhari mehfil main to 
Baray andaz se apnay gunahon ka izhaar karta hai 

Woh mujh se maangta hai umar bhar ki wafa ka wada 
Kis masoomiyat se woh mujh se fariyad karta hai 

Maloom hai sab ko khafa hai aaj kal mujh se woh "Haris" 
Magar main janta hoon keh woh mujhi se payar karta hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...