Manzir kay ird gird bhi aur aar paar dhund
Ayi kahan se aankh main yeh be'shumaar dhund
Kaisay na us ka sara safar raigaan rahay
Jis karwan-e-shouq ki hai raah guzaar dhund
Hai yeh jo maah-o-saal ka mela laga hua
Karti hai is main chup kay mera intizaar dhund
Aankhein woh bazam jsi ka nishan doltay chragh
Dil woh chaman keh jis ka hai rang-e-bahar dhund
Kamray main meray gham kay siwa aur kuch nahin
Khirki se jhaankti hai kissay baar baar dhund
Firdos-e-gosh tehra hai ko mabham sa koi shor
Nizargi ka shaher main hai Aaitabar dhund
Natak main jaisay bikhray hon kirdar jaa ba jaa
Amjad fiza-e-jaal main hai youn be'qaraar dhund
No comments:
Post a Comment