Hum to aseer-e-khwaab thay tabeer jo bhi thi
dewaar pe likhi hui tehreer jo bhi thi
aya aur ik nigha main barbaad kar gaya
hum ehl-e-intizaar ki jageer jo bhi thi
qadrain jo apna maan thein , neelaam ho gayein
malbay ky mol bik gayi tameer jo bhi thi
talib hain teray reham ky adal ky nahin
jaisa bhi apna juram tha , taqseer jo bhi thi
hathon pe koi zakham na pairon pe koi nishaan
sochon main thi parri , zanjeer jo bhi thi
Amjad hamari baat woh sunta to aik baar
aankhon se us ko choomtay tahzeer jo bhi thi
No comments:
Post a Comment