Hisaar-e-lafaz-o-biyaan main gum hoon
Abhi teri dastaan main gum hoon
Main dekh sakti hoon doston ko
Magar saf-e-dushmana main gum hoon
Badan ka apna azaab hai aur
Isi azab-e-ziyan main gum hoon
Yeh log ghar keh rahay hain jis ko
Main aisay makaan main gum hoon
Kahan woh lazzat musafaton ki
Main manzilon kay nishan main gum hoon
Khabar nahin moj-e-dasht-e-jaan ki
Hawa hoon aur baad'ban main gum hoon
Abhi kahan fursat-e-mohabbat
Abhi main kaar-e-jahan main gum hoon
No comments:
Post a Comment