Hum pe ilzaam jo dhar jata hai 
Us ka ehsaan hai , kar jata hai 
Aap to baat faqat kartay hain 
Teer sa dil main utar jata hai 
Chandani saath hi chalti hai sada 
Jis ufaq par bhi qamar jata hai 
Chaid sa kar kay naya seenay main 
Haadsa aa kay guzar jata hai 
Dhoop taqseem jo karta hai "Batool"
Aap tareeki main mar jata hai 
 
No comments:
Post a Comment