Raat kat'ti rahi chand dhalta raha
Aatish-e-hijar main koi jalta raha
Ghar ki tanhaiyan dil ko dasti rahi
Koi be'chain karwat badalta raha
Aas-o-umeed ki shamma bhi roshan rahi
Ghar ki dehleez ko youn hi woh takta raha
Raat bhar chandani gun'gunati rahi
Raat bhar koi tanha sisakta raha
Ashk palkon pe aa kay bikhartay rahay
Naam lab pe kisi ka larazta raha
Raat aankhon main youn hi guzarti rahi
Aaj phir khud se koi ulajhta raha
Kuch raat ki aankhein bheegi thein
Aur chand bhi rootha rootha tha
Kuch yaadein us ki baqi thein
Aur dil bhi toota toota tha
Kis morr pe bichray yaad nahin
Honton pe koi fariyad nahin
US waday ki bhi khabar nahin
Woh saccha tha ya jhoota tha
Her lamha aankhein bharti hain
Na jeeti hain na marti hain
BAs aik dua yeh karti hain
Woh loat kay wapis aa jaye
Aur dil main meray bas jaye
No comments:
Post a Comment