Jun 3, 2014

Kaash mujhay bhi batein atiein


Mujh ko batain kab ati hain
main to bas khamosh sa shair
ulfat chahat ky rangon se
dil ki khali tasveeron main 
koi mohabbat likh deta hoon
aur kabhi dewaar se lag kar
koi mohabbat ro deta hoon
aur kabhi aankhon aankhon 
sari batin keh jata hoon
main to ik khamosh sa shair
mujh ko batein kab ati hai
mujh ko batein gar atein to 
tum kiya mujh ko chor kar jatein 
meray sapnay tor kar jatein 
kiya meri aankhon main dukh kay
itnay aansoo dekh saktein thein
mera kul sarmaya tha jo 
kiya woh mujh se le saktein thein
mujh ko batein gar atein to 
main bhi tum se woh sab kehta
jo tum sun'nanay ki khwaish main 
saray rastay bhool ayi ho
saray rishtay bhool ayi ho
main tehra khamos sa shair
mujh ko batein gar atein to
tum bhi meray khwaab sajatien 
youn na tanha chor kay jatein
kaash mujh bhi batein atein

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...