Sabaz madham roshni main surakh aanchal ki dhanak
Sard kamray main machalti garam sanson ki mehak
Bazo'on ky halqy main koi nazak badan
Salwatein malboos par , Anchal bhi kuch dhalka hua
Garmei-e-rukhsaar se dehki hui thandi hawa
Naram zulfon se mulaem ungliyon ki chair chaarr
Surakh honton pe shrarat ky kisi lamhay ka aks
Reshmein baanhon main churi ki kabhi madham khanak
Sarmageen lehjon main dheeray se kabhi chahat ki baat
Do dilon ki dharkan main goonjti thi ik sada
Kaampty honton pe thi Khuda se sirf ik dua
Kaash yeh lamhay tehar jayein , tehaar jayein zara
No comments:
Post a Comment