Kabhi tum ne yeh bhi socha
keh tumharay dil girifta
tumhein kitna chahtay hain
Tumhein zindagi se barh kar
Jo aziz hum ne samjha
So koi sabab to ho ga
Kabhi tum ne yeh bhi socha ?
Sar-e-shaam muntazir thay
Kabhi neelameen ujaalay
Kabhi titliyan labon par
Kahin phool jaisay aariz
Kahin qam'qamon si aankhein
Yeh jo chara gar hamaray
Koi saa'at-e-rafaqat
Sar-e-shaam maangtay hain
Inhein kya khabar keh hum ne
Tumhein somp di hain raatein
Tumhein daan ki hain aankhein
Kabhi tum ne yeh bhi socha
Keh tumharay dil girifta
Pas-e-daam door akelay
Kisi shamma-e-sokhta se
Yeh jo kar rahay hain baatein
Tumhein kitna chahtay hain
Tumhein roz-o-shab ki dhun main
Kabhi bhoolna bhi chahein
To kabhi na phool payein
Keh ehad-e-zindagi hai
Jissay torna bhi chahein
To kabhi na tor payein
Tumhein zindagi se barh kar
Jo aziz hum ne jana
so koi sabab to ho ga
Kabhi tum ne yeh bhi socha ?
No comments:
Post a Comment