Jun 29, 2014

Kisi ki aankh jo pur'nam nahin hai


Kisi ki aankh jo pur'nam nahin hai 
Na samjho yeh keh us ko gham nahin hai 

Sawaad-e-dard main tanha khara hoon 
Palat jaon magar mousam nahin hai 

Samjh main kuch nahin ata kisi ki 
Agarcha guftagoo mabham nahin hai 

Sulagta kiyon nahin tareek jungle 
Talab ko boo agar madham nahin hai 

Yeh basti hai sitam par'war'digaan ki 
Yahan koi kisi se kam nahin hai 

Kina dosraye dariya ka jaisay 
Woh sathi hai magar mehram nahin hai 

Dilon ki roshni bhujhney na dena 
Wajood tairagi mehkam nahin hai 

Main tujh ko chah kar pachta raha hoon 
Koi is gham ka marham nahin hai 

Jo koi sun sake amjad to duniya 
Ba'juz ik baaz'gashat-e-gham nahin hai

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...