Jun 29, 2014

Yaad main teri jahan ko bhoolta jata hoon


Yaad main teri jahan ko bhoolta jata hoon 
Bhoolney wale kabhi tujh ko bhi yaad ata hoon main 

Ik dhundla sa tasawar hai keh dil bhi tha yahan 
Ab to seenay main faqat ik tees si paata hoon main 

O wafa-e-na'ashna kab tak suno tera gila
Be'wafa kehtay hain tujh ko aur sharmata hoon main 

Aarzoo'on ka shabaab aur marg-e-hasrat haye haye 
Jab bahaar aye gulistaan main to mur'jhata hoon main 

Hashar meri shair goi hai faqat fariyaad-e-shouq
Apna gham dil ki zubaan main , dil ko samjhata hoon main

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...