Jun 11, 2014

Barishon ky mousam main shaam ka yeh aik manzar


Kitna sehal jana tha 

Barishon ky mousam main 
Shaam ka yeh aik manzar 
Ghar main qaid kar lena 
Kushbo'on ko choo lena
Roshni sitaron ki
Muthiyon main bhar lena

Kitna sehal jana tha 

Kushb'on ko chu lena
Jugno'on si baton sy
Phool jaisay aangan main 
Roshni si kar lena
Us ki yaad ka chahera , khaab.naak aankhon sy 
Jheel ky gulabon par dair tak saja lena

Kitna sehal jana tha 

Ae dil ki kush'fehmi is tarah nahin hota 
Titliyaan pakarnay ko 
Door jana parta hai 
Is tarah nahin hota 
Is tarah nahin hota

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...