Qalam utha ky socha
Kuch aisa likhon
Kuch naya saa
Kuch na'yaab
Kuch meray ehsasaat se labraiz
Kuch meray jazbaat se chlakta hua
Kuch mera khwaishon ka rang liye
Alfaaz ky moamalay main
Pehli dafa apni mehroomi se samna hua
Kiya likh doon
Jo tumharay dil main youn uatar jaye
Jaisay kushboo kisi phool main sama jaye
Kuch aisa jo tumharay honton pe tehray to
Sargam ban jaye
Jisay tum gayo ghazal ban jaye
Kuch aisa jissay tum oorh sako
Apni Moattar jild ky itnay nazdeek rakho
ky main sharma jaon
Dil chahye
Kuch aisa hi likh doon keh tumharay chaheray pe
Woh tamaaam rangat bikhar jaye
Jo maeray wajood ka hasil ahi
Woh muskurahat
Jo jeenay ka sabab ban chuki hai
Woh hansi jo meray sukoon ka bbais
Tumhari ho jaye
Tum main kho jaye
Jab tum Parho
Meray alfaaz ko
Mehsoos karo unhain
Us shiddat se
Jo mehsoos ki meray qalam ki jumbish ne
Us kaaghaz ky purzay main
chupi meri duaon ko tum apnay daman main chupa lo
Ik ansoo us pe tapkao
Unhain zinda karo
Meray alfaaz ko parh kar
Unhain zindagi baksho
No comments:
Post a Comment