Koi sapna naya dekhain kisi armaan ka hum sochain
Gham-e-duniya se niklein to gham-e-jana ka hum sochein
Kabhi fursat milay hum ko zamanay kay sarabon se
Wafa ko dhoondnay niklein dar-e-khoban ka hum sochein
Kabhi ehad-e-guzishta se ijazat gar milay hum ko
Mohabbat phir koi kar lain kisi paimaan ka hum sochein
Nigahein khawab to bunti hain lakin wa-e-majburi
Yeh ishrat rokti hai gar kisi mehmaan ka hum sochein
Teri aankhein teray aariz teray lab aur teri zulfein
Dukhon se faasla ho to kham-o-paigaan kahum sochein
Faqat dard-e-mohabbat ka gila hota to kya gham tha
Hazaron dard hain seenay main kis darmaan ka hum sochein
Na janay kin khayalon main behay jata hai dewana
"Qamar" aisa bhi din aaye dil-e-nadaan ka hum sochein
No comments:
Post a Comment