Jun 7, 2014

Kuch to log kehtay hain


Kuch to log kehtay hain 

Kuch to sun ky hain hanstay
To kuch hai rotay
Terat meray qissay ab bhi
Main galiyon main hotay

Kuch tujhay mujhay ilzaam detay hain 
Kuch tujhay mujhay nakaam kehtay hain 
Teray meray qissay logon ki 
Zubaan par aam rehtay hain 

Kuch tujhay be'wafa kehtay hain 
Kuch mujhay be'wafa kehtay hain 
Ishq ka bhala hai 
Log tera mera 
Naam lay ky kehtay hain 

Kuch log tujhay bad'naam kartay hain 
Kuch log mujhay bad'naam kartay hain 
Lakin ishq ky naam pe
Dono ko salaam detay hain 

Kuch log teri qabar pe atay hain 
Kuch log meri qabar pe atay hain 
Hum phir jee uthain gy 
Ek doojay kay liye 
Yeh dawa kar kay jatatay hain

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...