Jun 7, 2014

Rukh pe ansoo baha rahi ho tum


Rukh pe ansoo baha rahi ho tum
Kiya mujhay azmaa rahi ho tum
Aaj shrmeen naam par us kay
Kiya hamain chor ja rahi ho
Meray zano pe sar hai aur phir bhi
Hijar ka geet gaa rahi ho tum
Guzrain youn paas se keh ruk na sakain
Door kyn hum se ja rahi ho tum
Aankha main doori saja ky shabeeh
Kon sa gham chupa rahi ho tum
Kuch to bola keh youn hi chup reh kar
Kyun sitam hum pe dha rahi ho tum
Yaad kar mujh ko , meri jaan dil ko
Rog kaisa laga rahi ho tum
Umar guzri hai aik , par ab bhi
Dil ka dar khatka rahi ho tum
Meri aankhon ka pani pee pee kar
Our mujh ko rula rahi ho tum
Is shajar pe jo naam likhay hain
Kyon ab inhain mita rahi ho tum
Jis ko tanha kiya tha , us jaan par
Aaj kyon haq jata rahi ho tum
Khoon dy dy ky jo banaya tha
Woh makaan kyn jala rahi ho tum
Raah se main tumhari hat to gaya
Ab mujhay kyn sata rahi ho tum
Aankha main , main hoon lab per koi aur
Yeh mujhay kiya bata rahi ho tum
Hijar ki subha sar pe aa ponchi
Saig ab kyon saja rahi ho tum
Saray mousam to raasta dekh chuka
Ab ussay kyn bhula rahi ho tum 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...