Meri talab tha ik shakhs , woh jo nahin mila to phir
Hath dua se youn gira , bhool gaya sawal bhi
Us ki sukhan taraziyan meray liye bhi dhaal thein
Us ki hansi main chup gaya apnay ghamon ka haal bhi
Gaah qareeb-e-shah'rag , gaah baeed-e-wehm-o-khawab
Us ki rafaqaton main raat hijar bhi tha wisaal bhi
Us kay hi baazu'on main aur usi ko hi sochtay rahay
Jism ki khwaishon pe thay rooh kay aur jaal bhi
Shaam ki na samjh hawa pooch rahi hai ik pata
Moj-e-hawa-e-ku-e-yaar , kuch to mera khayal bhi
No comments:
Post a Comment