Ik pashmaan si hasrat mujhay sochta hai
Ab wohi shaher mohabbat se mujhay sochta hai
Main to mehdood se lamhon main mili thi us se
Phir bhi woh kitni wazahat se mujhay sochta hai
Jis ne socha hi nahin tha hijar ka mumkin hona
Dukh main doobi hui hairat se mujhay sochta hai
Main to mar jaon agar aur sochtay lag jaon ussay
Aur woh kitni sahulat se mujhay sochta hai
Garcha ab tark-e-marasam ko bhout dair hui
Ab bhi woh meri ijazat se mujhay sochta hai
Kitna khush feham hai woh shakhs keh her mousam main
Ik naye rukh nayi surat se mujhay sochta hai
No comments:
Post a Comment