Mohabbat ke mousam
zindagi ke sab mousamon se niralay
bahar-o-kizaan in ki sab se juda
alag in ka sookha alag in ki ghatta
mohabbat ky khit'tay ki aab-o-hawa
mawara un anasar se jo
mousamon ke taagiyr ki buniyaad hain
yeh zamaan-o-makaan ke kam-o-baish se
aisay azaad hain
jaisay subha-e-azal , jaisay shaam-e-fanaa
shab-o-roz-e- aalam ke ahkaam ko
yeh mohabbat ke mousam nahin mantay
zindagi ki musafat k anjaam ko
yeh mohabbat ky mousam nahin mantay
rafaqat ki kushboo se khali ho jo
yeh koi aisa manzar nahin dekhtay
wafa ky ilawa kisi kaam ko
yeh mohabbat ke mousam nahin mantay
No comments:
Post a Comment