Jun 17, 2014

Sar jhukao gay to pathar devta ho jaye ga


Sar jhukao gay to pathar devta ho jaye ga 
Itna mat chaho ussay woh be'wafa ho jaye ga 

Hum bhi dariya hain hamein apna hunar maloom hai 
Jis taraf bhi chal parein gay raasta ho jaye ga 

Kitni sachaai hai mujh se zindagi ne keh diya 
Tu nahin mera to koi dusra ho jaye ga 

Sab usi kay hain , hawa khushbu , zameen-o-aasman 
Main jahan bhi jaaon ga us ko pata ho jaye ga

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...