Jun 13, 2014

Shaahon ki tarah thay, na ameeron ki tarah thay


Shaahon ki tarah thay, na ameeron ki tarah thay
Ham shehr e muhabat ki faqeeron ki tarah thay

Daryaaon mein hotay thay jazeeron ki tarah ham
Sehraaon mein pani k zakheron ki tarah thay

Afsos keh samjha na hamain ehl e nazar ne
Ham waqt ki zambeel mein heeron ki tarah thay 

Gham tauq e guloo, paaon mein zanjir anaa ki
Azaad bhi thay ham tau aseeron ki tarah thay 

Hairat hai Keh wo loug bhi ab, chhorr chalay hain
Jo hathaili main hamari, laKeeron ki tarha thay

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...