Woh meri bachpan ki yaadain bari sohani
Woh dil ka behalna sun ky koi kahani
Woh be'fikri ky din woh be'fikri ki ratain
Woh masoomiyat ki rutain thein bari dewani
Woh khauf se kampana kabhi sardi se tht'tahrna
Woh badal ka garajna woh barsaat ka pani
Woh maktab ka pehla din woh nayi disti
Woh sab ko mera taa'aruf meri hi zubaani
Woh khoob tha mustaqbil ky khwabon ky sunana
Woh kabhi maan to kabhi baba ki zubani
Woh awargi pe pabandi woh ghar ki qaid
Woh chori se nikalna woh apas ki raaz'dani
Woh baray bhai ki daant woh us ka rouab
Woh mera sochna keh kab aye gi jawani
Woh matti main khailna woh doston ki narazgi
Woh apas main larna aur phir woh soch intaqami
Woh din loatein gy nahi woh pal ayein gy
Woh yadain ho gayi hain bhout hi purani
No comments:
Post a Comment