Jul 31, 2015

Zakham jo aap ki inayat hain is nishani ko naam kya dain hum


Zakham jo aap ki inayat hain is nishani ko naam kya dain hum 
Pyaar dewaar ban kay reh gaya hai is kahani ko naam kya dain hum 

Aap ilzaam dhar gaye hum par , aik ehsaan kar gaye hum par
Aap ki yeh bhi meharbani hai , meharbani ko naam kya dain hum 

Aap ko youn hi zindagi samjha , dhoop ko hum ne chandani samjha 
Bhool hi bhool jis ki aadat hai , is jawani ko naam kya dain hum 

Raat sapna bahaar ka dekha , din hua to ghubaar sa dekha 
Be'wafa waqat be'zubaan nikla, be'zabani ko naam kya dain hum

1 comment:

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...