Jul 31, 2015

Mohabbat rog hai jana


Mohabbat rog hai jana 

Ajab sanjok hai jana 
Yeh kaisa rog hai jana 
Baray boorhay bata/tay thay 
Kai qissay sunatay thay 
Magar hum maantay kab thay 
Yeh sab jantay kab thay 
Keh 
Hamaray saath kisi surat 
Bhi aisa ho nahin sakta 
Dil qabu se be'qabu 
Kabhi ho nahin sakt a
Magar phir youn hua jana 
Chehra-e-masoomana par 
Nigah-e-qaatlana par 
Jafa-e-meharmaana par 
Ada-e-kafarana par 
Qayel ho gaye hum bhi 
Baray be'baak phirtay thay 
Mayel ho gaye hum bhi 
Sakhawat karnay aaye thay 
Aur sayel ho gaye hum bhi 
Baray baron ki in baaton kay 
Qayel ho gaye hum bhi 
Keh
Mohabbat rog hai jana 
Ajab sanjok hai jana 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...