Aa tehri barsaat to palkain bheeg gayein
Roi jab bhi raat to palkain bheeg gayein
Aankhon ko jab gehri kaali barkh ki
Somp gaya soghat to palkain bheeg gayein
Apnay bhi jab chor kay wapis palatnay lagay thay
Thaama us ne haath to palkain bheeg gayein
Youn to her nuqsaan pe haavi zabt raha
Bikhar gayi jab zaat to palkain bheeg gayein
Pehlay to aankhon main hairat tehri thi
Samjh main ayi baat to palkain bheeg gayi
Baat bicharnay par hi khatam nahin hoti
Chala jo koi saath to palkain bheeg gayein
Her ilzaam ko sehnay ka kuch ehad to tha
Aur chirri jab baat to palkain bheeg gayein
Kiran Rubaab Naqvi
No comments:
Post a Comment