Aah ko chahiye ik umar asar hone tak
Kon jeeta hai teray zulf ke sar hone tak
Daam her moj main hai , halqa-e-sad kaam-e-nahing
Dekhain kiya guzray hai qatray pe gehar hone tak
Aashqui sabar talab aur tamana be'taab
Dil ka kiya rang karon khoon-e-jigar hone tak
Hum ne mana keh taghafal na karo gy lakin
Khaak ho jayein gy hum tum ko khabar hone tak
Par tu khud se hai shabnum ko fanaa ki taleem
MAin bhi hoon ik inayat ki nazar hone tak
Yak nazar baish nahin , fursat hasti-e-ghafil
Garmi bazam hai ik raqs shr'rr hone tak
Gham hasti ka asad kis se ho marg-e-ilaaj
Shamaa her rang main jalti hai sehar hone tak
Poet : Mirza Ghalib
No comments:
Post a Comment