Ya to rootay na thay ab roye to aisa roye
Jaisay farzand jawaan ko koi dukhiya roye
Inqalaab aye ga kiya aik meray rone se
Baat to jab hai meray saath yeh duniya roye
Jaate jaate bhi andheron ka asar chor gayi
Raat ke haal pe kiyon kar na sawera roye
Woh meray hijar main sunta hoon kuch aisa roya
Jis tarh melay main bichra hua bacha roye
Hum ne ab shaher ki sehra se mila di hain hadain
So hamain shaher ki galiyon ka ujaala roye
Na'shana'saan-e-alam royein to kaisay royein
Aankh kiya roye keh jab tak na kalaija roye
No comments:
Post a Comment