Jul 28, 2014

Aankh ban jati hai sawan ki ghata shaam kay baad




Aankh ban jati hai sawan ki ghata sham kay baad
laut jaata hai agar koi khafa sham kay baad

wo jo tal jati rahi sar se bala sham kay baad
koi to tha ke jo deta tha dua sham kay baad

aanhen bharti hai shab-e-hijr yateemon ki tarah
sard ho jaati hai har roz hawa sham kay baad

sham tak qaid raha karte hain dil ke andar
dard ho jate hain saare hi rehaa sham kay baad

log thak haar ke so jate hain lekin janaa
hum ne khush ho ke tera dard saha sham kay baad

chand jab ro ke sitaaron se galay milta hai
ik ajab rang ki hoti hai fizaa sham kay baad

hum ne tanhaai se pucha ke milo gi kab tak
us ne be-chaini se foran hi kaha sham kay baad

tum gaye ho to siyah rang ke kapre pehne
phirti rehti hai mere ghar mai qaza sham kay baad

maar deta hai ujarr jaane ka dohra ehsaas
kash ho koi kisi se na judaa sham kay baad

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...