Jul 28, 2014

Aankhon main koi khwaab utarnay nahin deta


Aankhon main koi khwaab utarnay nahin deta 
Yeh dil keh mujhay chain se marnay nahin deta 

Bichray to ajab pyaar jata'ta hai khatton main 
Mil jaye to phir had se guzarnay nahin deta 

Woh shakhs khizaan rut main bhi mohtaat rahay kitna 
Sookhay huye phoolon ko bikharnay nahin deta 

Ik roz teri pyaas khareeday ga woh gabhro
Paani tujhay panghat se jo bharnay nahin deta 

Woh dil main tabasum ki kiran gholnay wala 
Roothay to ruton ko bhi sanwarnay nahin deta 

Main us ko manaon keh gham-e-dehar se uljhon  
"Mohsin" woh koi kaam bhi karnay nahin deta 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...