Jul 25, 2014

Aankh barsi hai teray naam pe sawan ki tarah


Aankh barsi hai teray naam pe sawan ki tarah 

Jisam sulga hai teri yaad main eendhan ki tarah 

Loriyaan di hain kisi qurb ki khwaish main mujhay 

Kuch jawani kay bhi din guzray hain bachpan ki tarah 

Is bulandi se mujhay tu ne nawaza q tha ?

Gir kay main toot gaya kaanch kay bartan ki tarah 

Mujh se miltay huye yeh baat to sochi hoti 

Main teray dil main samaa jaaon ga dharkan ki tarah 


No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...