Jul 25, 2014

Zamana pyaar ka itna hi kam hai yeh na jana tha


Zamana pyaar ka itna hi kam hai 
Yeh na jana tha
Hamara saath bas do hi qadam hai 
Yeh na jana tha 

Khushboo aaghaz tha meray mohabbat kay fasanay ka 
Wafa ne khwaab dekha tha nai duniya basanay ka 
Magar is khwaab ki tabeer gham hai 
Yeh na jana tha  

Bari rangeen baharon main 
Jalay ga aashiyana mera 
Lutay ga is tarah mazil pe aa kay 
Karwaan mera 
Mujhay teri mohabbat ki qasam  hai 
Yeh na jana tha 

No comments:

Post a Comment

Related Posts Plugin for WordPress, Blogger...