Ab karb ke toofaan se guzarna hi paray ga
Suraj ko samandar main utarna hi paray ga
Fitrat ke taqazay kabhi badlay nahin jaatay
Kushboo hai agar woh to bikharna hi paray ga
Parti hai tp par jaye shikan us ki jabeen par
Sachai ka izhaar to karna hi paray ga
Her shakhs ko ayein gay nazar rang sehar ke
Khrasheed ki kirno ko bikharna hi paray ga
Main soch raha hoon yeh sar shaher-e-nigaaran
Yeh us ki gali hai to tehrna hi paray ga
Ab shaana-e-tadbeer hai hathon main hamaray
Halaat ki zulfon ko sanwarna hi paray ga
Ik umar se be,noor hai yeh mehfil-e-hasti
"Ejaaz" koi rang to bharna hi paray ga
No comments:
Post a Comment