Sookhay hont sulagti aankhain , sarsoon jaisa rang
Barson baad woh dekh ke mujh ko dekh ke reh jaye ga dang
Maazi ka woh lamha mujh ko aaj bhi khoon rulaye ga
Ukhri ukhri baatain us ki ghairon jaisay dhang
Dil ko to pehlay hi dard ki deemak chaat gayi thi
Rooh ko bhi ab khaata jaye tanhai ka zang
Inhi ke sadqay ya'rab meri mushkil kar asaan
Meray jaisay aur bhi hain jo dil ke haathon tang
Sab kuch de ke hans di aur phir kehnay lagi taqdeer
Kabhi na ho gi teray dil ki poori aik umang
Kiyon na apni chooriyon ko kirchi kirchi kar daloon
Dekhi aaj aik sundar naari piyaaray piya ke sang
Shabnam koi tum se haaray , jeet pe maan na karna
Jeet woh ho gi jab jeeton gi apnay aap se jung
No comments:
Post a Comment