Agar hum toot jaate
To sitaray rooth jaate
Phool khilna chor detay
Aur prinday cheh'chehana bhool jaate
Agar hum toot jaate
To kai sadiyaan adhooray khwaab ki hairat main gum rehtein
Idhar main ranj-o-gham sehta
Udhar tum ranj-o-gham sehtein
Zubaan se main na kuch kehta
Zubaan se tum na kuch kehtein
Agar hum toot jaate
To kai janmon talak yeh piyaas reh jaati
Khalish ik zindagi ban kar
Bas ehsaas reh jaati
In aankhon ko tumharay dekhnay ki aas reh jaati
Agar hum toot jaate
No comments:
Post a Comment